Bachpan me hi mari gayi thi mat,
10th k baad hi bhar dia tha C.A ka form,
kehte the sabko hum C.A banenge,
dikhayenge tumko hum h bookworm...
Zindagi jine wale aadmi, hum bina jiye hi ho gye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)
dhire dhire kati 11th, kisi tarah 12th me aye,
Debit credit kya hote h, koi to humko bhi ye bataye,
Final accounts h kis bala ka naam, koi to ho jo ise samjhaye,
Mummy kehti h padlo beta, koi unhe hamara dard to sunaye...
Pehle sapne me aate the ladkio k khawab,
ab aate h accounts k questions wo bhi without jawab,
In sabse darr kar jab nind me uthta hu,
kya yahi h zindagi is baat ko sochta hu...
Aa gya January exams h paas, jisme pass hone ki mujhe koi nhi h aas..
Aas kaise hogi kyuki 2 mahine to hume padai kiye ho gye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)
March me diye exams, wo bhi without tayari,
Result ki chinta kise h, ab march k baad h june ki baari,
Socha tha 2 mahine hogi aish, gf k sath udaenge papa ka cash,
Par C.A banne ka junoon tha chaya, CPT exam ne kaha le main aaya,
CPT ek khatra sath me laya, khatra tha negative marking ka saaya,
Kabhi quantitative aptitude ne sataya, kabhi business law ne sataya,
Phir to june ka mahina aaya, Aur mere mann me bhi ek darr sa samaya...
Par kismat ne aisa khel khela, 20 bache the tution pe,par reh gya main akela...
Dil aisa tuta ke sharabi to hum bina piye hi ho gye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)
Jo bhi hua wo tha ek accident, ek mahapurush ne aisa keh k khilayi hume chlormint,
Chlormint ne kia hme cool, aur wo bole sun bhyi fool,
wahi josh rakh aur wahi rakh junoon..wahi josh rakh aur wahi rakh junoon,
As you know ki june k bad december aur december ke bad june...
Phir maine kiya unse ek wayda,
Aur samajh gaya main ki C.A. first attempt me karne ka kuch khas nahi hai fayda,
Interesting hai subjects 2-3 bar chahiye inhe padna,
Par papa ne bhi keh diya, agli bar fail huye to dukan par hi padega baithna,
Irade unke bhi the pakke, to socha kyu na mar de 6 gendo par 6 chakke,
Chak k ki padai aur chak diye phatte, Papa bhi bole 'I am proud of you bete',
Unke ye lafz dil ko chu gaye, puri mehnat ki to IPCC ke group one me bhi pass ho gaye...
Dosto ne yad dilaya ke kitne din tujhe party diye ho gye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)
Result aane se pehle I.T training puri karni thi jaroori,
Sath hi orientation programme pura karna bhi tha majburi,
Paaji ne kaha tere aur CA degree ke bich kaisi hai ye duri,
thodi mehnat ki to ye dono bhi ho gayi poori...
Phir jaise hi aaya IPCC Group-1 ka result,
SAbhi aalochana karne wale reh gaye dang,
Par unki chinta kise thi,
Chinta ka vishaya to tha 3 saal ki articleship ki jang...
Socha tha aage ki rah hai aasan,
Par C.A. dhundne ka kaam bhi tha mahaan,
MUmmy Papa khush the hamara ladka bhi office jayega,
par yahan unke ladke ki nikal rahi thi jaan...
10-15 Din mehnat ki mehnat to ek C.A. mil gaya,
Insan ho wo acha dil ne ki ye dua ,
FIr kisi ne bataya, C.A. bante-2 sari achai nikal jati hai ,
Aur C.A. ko apne article ki koi baat nahi bhati hai...
Phir shuru hua kadi mehnat ka daur, kaam karte pata hi nahi chalta,
kab hoti hai raat aur kab aa jati hai agli bhor,
Kismat bhi aisi kharab hai ki,
sab kam karne par bhi puchna padta hai 'sir kuch aur'...
Isi bich aaye IPCC group-2 ke exams,
uske subjects ki tayaari karna hai asaan sa kaam,
Aur yelo iska result bhi aa gaya ,
main pass hua aur mera bhi ho gaya naam...
Stipend hai matra rupaye hazaar,
Phir bhi unka phone aata hai baar-baar,
Request karta hu ek chutti ki,
To kehte hai'aaj kaam hai phir kabhi le liyo yaar'...
GF se ho gayi ladai,
Mujhe chutti jo nahi mil payi,
kehti hai raksha bandhan paas aa raha hai,
ab to aap bas ban jao mere bhai...
Ab aapko kya bataye,uske bhai to hum bina kuch kiye hi ho gaye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)
Bunk to school se bhi kata tha,
par usse jyada bunk ab ofice se karta hu,
Pehle ghumne jaata tha dosto ke saath,
par ab padai,padai aur sirf padai karta hun...
Bachpan me kya hota tha,ki padte hue nind aa jati thi,
par ab to nind me bhi padna padta hai,
Papa kehte hai tu C.A banke to dikha,
par unhe kya pata C.A. banne ke liye kya-2 karna padta hai...
AB to bas training khatam hone ko ayi h,
2 sal bit gye 1 sal ki aur ladai h,
Training k akhri 6 months me hi dedo final k dedo exams,
ICAI ne bhi kya policy banayi h...
Reh gya h sirf final exams ka bojh,
dono group ki taiyari me 18 ghante padna padta h roj,
Dil ko samjhata hu padne de pagal,
kyuki C.A banne k baad h mauj hi mauj...
Taiyari karte ho rahi h halat kharab,
zindagi banti ja rahi h ek sawal jiska koi nahi h jawab,
Life ho gyi h out of control,
C.A hone k bawjood bhi nhi laga pa raha hu iska hisab...
Kal paper h aur mujhe kuch nhi h aata,
Dar h kisi tarah bhi nhi h jata,
Kya karu mujhe koi ye bhi nhi batata,
is bar to lagta hai C.A n hi ban pata...
Jaisa socha tha hua uske ekdum viprit,
Paper itne aasan aye k laga main gya jit,
A/Cs,Law,Audit aur FM aye ekdum easy,
DT,IDT,Cost aur MICS me bhi hua yehi sab repeat...
Exams to ache bina zyada mehnat diye hi ho gye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)
Ye C.A h uncertainity ka khel,
1 group pass ho gya 60% se,aur ek me ho gya main Fail,
Mumy kehti h tu nalayak h,
Sir pe lagaya ka badam wala tel...
Ek to mumy k in shabdo ne mere dil ko chua,
upar se sabne bari-bari aakar pucha,kya hua-kya hua,
Ab to zindagi ban gyi h ek jua,
kuch hua to hua,nhi hua to nhi hua,
Is bar to C.A ban hi jau,
yaron sab milkar karo ye dua...
2 saal 9 mahine me hi karli office se tauba,
kyuki sir pe tha final exams ka force,
Akhri 3 mahine ki training ki chinta nhi h,
kyuki use pura karayega 3 months wala residential course...
Par usse pehle h exams ka darr,
jiski wajah se main har roz raha hu marr,
Ab aya hu rabba tere paas,
is attempt ka to tu hi kuch kar...
Exams khatam huye aur main pahuncha karne residential course,
Yahan par hai duniya bhar ki knowledge ka pura source...
Subah me yoga,din me lecture aur ek professional ki tarah bolna sikhte h,
yahan k teachers isiliye har kisi ko pasand ate h,
cricket,tennis aur national game hockey bhi khilate h,
aur khana bhi kya lajwaab banwate h...
C.A karne k chakkar me maine regular college nhi kia,
par in 3 mahino me maine us college ko jia,
Isi bich result aya aur sabhi ne muje cheer up kia,
Aur party le le k papa k bank balance one-third kia...
C.A bante hi asisa laga,k hum kul k dipak aur aasman me chamakte ek diye ho gye,
Mummyji Papaji chachaji masiji buaji dadaji, mubarak ho hum C.A ho gye :-)
Campus placement me maine job ko paya,
ek mahine me 50000 rupayo ko kamaya,
muje mila mann ka sukoon aur dunia ka sammaaan,
aur maine apni mari gyi mat wali bat ko galat thahraya...
Zindagi jin wale admi ab to hum puri tarah jike hi gye,
Mummyji Papaji mubarak ho hum C.A ho gye :-)